HomeBlogAbout me
*Question answer with babaji*
Q1.)-Babaji, 15-16 saal ki aayu may naamdan kyon nahi milta?
Babaji.-Is umar may bache ma- baap ke peechhe lagkar sab kaam karte hain .Namdan ki umar 26 saal is liye rakhi gaee hai , kyonki is umar may aap apne liye sahi galat ka faisla kar sakte hain.
Q.2)-Babaji may bhajan simran karti hoon. Maine naamdan babaji se liya hai. Kya aap mujhe meri maut ke waqt lekar jaaoge?
Babaji.-(Saari sangat has padi) “Beta kisi ke ooper hasna nahin. Hasna to apne ooper pay sakda hai. Fark sirf ye hai ki ye sawaal to sabke man may hai ,lekin himmat sirf inhone ki ye baat poochhane ki. Is liye kisi par hasna nahi. Apka dayra bahut chhota hai. Guru shabad swaroop hai. AAP apne bhajan simran par dhyan do.
Q.3)-Babaji may bahut pareshan rehti hoon, jiske kaaran mujhse bhajan simran nahi hota. Babaji daya karo?
Babaji.-(Pyari si smile dete hue)Unki daya mehar par tala lagakar chabi to aapne apne paas rakhi hue hai, bhajan simran karo.
Q.4)-Babaji , mere namdan lene ke baad mujhse galti ho gaee mujhe maaf kar do?
Babaji.-Asi bhulanhar han te Oh, bakshanhaar hai. Uske ghar may daya ki koi kami nahi.
Q.5)-(A man)- Babaji mujhse seedhe baithkar bhajan nahi hota?
Babaji.-Kya aap kursi par baith sakte ho?
Man - Hanji,
Babaji.- Aap kursi par baith kar bhajan kiya karo, Angrej logon se bhi to chokri nahi lagti Wo bhi kursi par baithkar karte hain.
Q.6)-(A girl)- Babaji, Jinhe namdan nahi mila kya unki chithhiyon ke jawaab nahi milte?
Babaji.-Chithhiyan to bahut aati hain, Par koshish ye hoti hai ki un chithhiyon ka jawab diya jae , jo ruhaniyat se related hoti hain.
Q.7)-(A lady)-Babaji , daya mehar karo or mujhe confidential seat dedo?
Babaji.-(With smile) Kis baat ki confidential seat?
Lady - Babaji ruhaniyat ki
Babaji.-(With Smile)- Jab namdan mila tha tab kya aap waiting list may the,aap ko ticket bhi mil chuki hai aeroplane ki , or aap aeroplane may baith bhi chuki hain, jab se aap ko namdan mila hai, or kis cheej ki kami hai?
Q.8)-(A lady)-Babaji aisi daya mehar karo ki may ghar ja kar bhajan par baithoo to baithi hi rahoo?
Babaji.-Jis din unhone karwana shuru kar diya , to aapse bardasht nahi hoga, nahi karoge to buldoger ke sath kheench kar le jaenge.
Lady- Nahi aap mujhe buldoger ke sath kheench kar mat le jana.
Fir us beebi ne apne husband se sambandhit baat karni shuru ki to babaji ne kaha ki kisi or se sambandhit baat nahi karni.
Q.9)-Aap hamesha khushi dete raho or aate raho?
Babaji.-Khushi ko hajam karo, aage ki mat socho, Yahan par koi sawal jawab thode na kiye ja rahe hain, Ye to bas ek khel hai.
Q.10)-(A lady)- Babaji mujhe bhajan simran karne ka waqt nahi milta?
Babaji.-Humare paas duniyavi kaam ke liye waqt hai.Hum samajhate hain ki wo jante hain, isliye unki taraf dhyan nahi dete.Par sab kuchh hume hi karna hai.
Q.11)-(A man)- Mujhse bhajan simran par baitha nahi jata?
Babaji.-Beta, takleef bhajan simran ke sath hi jaegi . Dhyan ooper jaega or apne aap hi sab kuchh bhool jaenge. Sab baith sakte hain , unhone dekha tabhi to namdan diya.
Q.12)-(A Girl)- Babaji mere sasural wale satsangi nahi hain. Mujhe satsang ghar jhagad kar aana padta hai?
Babaji.-Bachhe jhagad kar to bilkool nahi aana . Ek misaal banker dikhao, Jaise agar ek din sooraj nahi nikla, or barish aa gaee, to iska matlab ye nahi ki sooraj kabhee nahi niklega.
Q.13)-(A lady)- Na to khan eke liye hai, na sir par chhat hai, to bhajan kaise Karen?
Babaji.-Har insaan may itani takat hai , ki wo apni roji roti kama sake, Koi bhi kaam chhota ya bada nahi hota. Bank bal. hone se koi fark nahi padta.
Lady - Babaji, mujhe sab taane dete hain ki tumhare bhagwan ne tumhe diya kya hai?
Babaji.-Unse poochho ki unke paas kya hai?Koi dharma apnane se koi ameer-gareeb nahi ho jata. Apne karm tumhe apne aap hi bhugatne padenge, koi or nahi baant sakta.Ek ghar may thodi achhi sehat wale log bhi hote hain,or kamjor sehat wale bhi.Doosaron ko dekhkar hume kabhi apne man ko lalchane nahidena chahiye. Kabhi kisi ko koicheej muft nahi deni chahiye Koi cheej muft dene ka matlab hai uski tabaahi karma.
Q.14)-(A man) Maine ek saal pehle namdan liya tha, mere pitaji coma may hain, unki ichha hai ki v eek baar beas may jakar darshan Karen?
Babaji.-Aisa kahkar apne apne guru ko hi chhota kar diya, drishti se kuchh nahi hota, Malik ko pata hai ki kya sahi hai or kya galat. Unke hukam ka palan karo. Apni ichhaon ko maro or unke jitney bade bano. Satsang par kabhi ladkar mat aao. Ghar par rehkar ache udaharan bano. Mahol banao Koi agar tumse kuchh galat kehta hai, to usase hath jodkar maafi mangoor kaho ki mujhe maaf kar do, mere kaaran aapko apni jubaan gandi karni padi Doosare logo ke vicharon ki bhi kadr karo, tabhi tumhare vicharon ki kadr hogi.
Q.15)-(A lady)- Mujhe bhajan ke samay khyal aate hain?
Babaji.-Khyal to aaenge, lekin aap simran par dhyaan dijiye, Khaee mein chhalang aap log lagate hain or mujhe kehte hain ki dhakka kyon diya.
Q.16)-(A man) Mujhe maharaj ji kehte hain ki babji se milo?
Babaji.-Unka kehne ka matlab hai ki bahar se nahi, ander se darshan karo, Shabd swaroopi guru se milo,Ant may babaji khade hue to saari sangat bhi khadi ho gaee. Babaji ye dekhkar baith gae or kaha ki may to abhi gaya bhi nahi or sabne chalna bhi shuru kar diya, Disciplin ko maintain karo. Radhaswami.
*This site is under construction*
*NOTE:-"This is not an official site of Dera Baba Jaimal Singh,Radha Soami Satsang Beas,you can visit the official website of Radha Soami Satsang Beas on www.rssb.org we at www.rssb.wapsite.me are the followers of Radha Soami Faith."
1Mozilla1

Duck hunt